Highway Bawaal · Guide

Highway Bawaal jeetne ki tips

Sirf speed se yahan race kam hi jeeti jaati hai. Yeh aadatein top 3 mein aane mein madad karti hain.

Ghat ki baarish mein laal tag wala Badla rival

Seedhi sadak par lado

Sadak seedhi ho tab mukka-laat chalao. Mod par anguthe steering ke liye chahiye, aur chooki laat aapko kinare mein bhej sakti hai.

Josh bharo, phir nitro

Har maar aur traffic se har baal-baal bachaav Josh badhata hai. Nitro aakhri hisse ke liye ya bheed se nikalne ke liye bachao.

Rider ko traffic mein laat

Laat mukke se zyada damage karti hai. Rival ko truck ya gaay ki taraf dhakelo, jaldi girega.

Badla lo

Jisne aapko giraya woh agli race mein laal tag ke saath aata hai. Use harao to double paisa. Free game mein career mein girao; Pass ke saath Badla Duel mein bhi lalkaar sakte ho.

Traffic Mama

Police bike peeche dikhe to ya bhaago ya gira do, girane par ₹250 bonus. Pakde gaye to challan.

Samajh ke upgrade

Speed ke liye pehle Engine, baar baar girte ho to Jacket, ladai jaldi khatam karni ho to Mukka.

Sawaal jawab

Main baar baar kyon girta hoon?

Rival ke bagal mein der tak chaloge to woh maarega. Aage nikal jao ya peeche ho jao, aur Jacket upgrade karo.

Sabse zyada paisa kaise?

1st aao, Badla rival ko harao (double paisa) aur Traffic Mama ko girao.

Gaay aur truck se kaise bachein?

Rival nahi, aage ki sadak dekho. Baal-baal bachne se Josh, takkar se speed aur health ghat'ti hai.

Kya health wapas aati hai?

Haan, dheere dheere, jab maar nahi pad rahi ho.

Highway Bawaal ek game hai. Asli sadak par race ya maar-peet mat karo, helmet pehno aur dhyan se chalao. Road Rash Electronic Arts ka trademark hai; Highway Bawaal AtmaLoop ka apna game hai, usse juda nahi.

Aur guides

Keemat

FreeSilk Board aur NH-44 par Highway Career, Daily Bawaal, garage upgrade. Koi ad nahi.
Bawaal Pass · ₹99 ek baarGhat Road Monsoon, Badla Duel, Knockout Hunt, Elimination, har race mein 2x cash, 3 khaas paint, aage ke saare highways aur modes. 3 phones tak.

Ek baar ka payment, koi auto-renew nahi, koi subscription nahi. Pass sirf games.atmaloop.com/bawaal/pass par milta hai. Free game kabhi band nahi hota.

Kaun bana raha hai

Highway Bawaal ko AtmaLoop bana raha hai, India ka ek solo maker. Sawaal, idea ya bug ho to kabhi bhi likhiye.

Email: support@atmaloop.com · atmaloop.com