Highway Bawaal guide (Hinglish)
Silk Board ke traffic, NH-44 ke truck aur baarish wali Ghat road par saat rivals se race karo, aur raaste mein unhe mukka ya laat maar ke bike se girao. In guides mein controls se lekar Badla jeetne tak sab hai.
Sawaal jawab
Kya Highway Bawaal free hai?
Haan. Do highways ka career aur Daily Bawaal free hai, koi ad nahi. Bawaal Pass (₹99 ek baar) chahiye to teesra highway, teen mode aur bahut kuch milta hai.
Kya yeh Road Rash jaisa hai?
Usi tarah ka game hai: bike race jisme rivals ko mukka aur laat maar sakte ho. Par yeh Indian sadkon par bana apna game hai, Badla aur Traffic Mama jaise apne modes ke saath.
Kya bina internet chalta hai?
Haan. Pehli baar ke baad race bina internet chalti hai. Sirf Pass activate karne ke liye internet chahiye.
Kya Android app hai?
Haan, Highway Bawaal Google Play par hai. Phone ke browser mein landscape mein bhi khel sakte ho.