Highway Bawaal · Guide

Bawaal Pass kaise lein

Bawaal Pass hamari website par milta hai, Play Store app ke andar nahi. Ek minute ka kaam hai: ek baar ₹99 do, unlock code pao, game mein daalo.

Screenshot · sirf photoBawaal Pass ka form: naam, mobile number aur ₹99 pay button
Yeh Pass page ki photo hai, naam aur number sirf udaharan hain. Pass lene ke liye upar "Bawaal Pass page kholo" dabao.

Steps

Kya milta hai

App ke andar kyon nahi?

Google Play ke niyam app se bahar ke payment ka link dene nahi dete, isliye app mein sirf code daalne ka box hai. Free game Pass ke bina bhi poora chalta hai.

Paise kat gaye par code nahi mila?

UPI kabhi kabhi confirm hone mein ek minute leta hai. Page par ruko aur dobara check wala button dabao. Page band ho gaya ho to Pass page phir kholo aur 'Code kho gaya?' mein payment SMS/email wali order ID daalo (HB se shuru hoti hai).

Sawaal jawab

Bawaal Pass kitne ka hai?

₹99, sirf ek baar. Na subscription, na renewal.

Kya Play Store app ke andar khareed sakte hain?

Nahi. Pass games.atmaloop.com/bawaal/pass par milta hai, phir code app mein daalte hain.

Kaun se payment chalte hain?

UPI, debit/credit card aur netbanking, Cashfree ke through.

Ek Pass kitne phone par?

Ek hi code se 3 phones tak.

Paise kat gaye, code nahi mila, kya karein?

Pass page par 'Code kho gaya?' mein order ID daalo, ya support@atmaloop.com par order ID bhejo. Paid order ka code hamesha milta hai.

Aur guides

Keemat

FreeSilk Board aur NH-44 par Highway Career, Daily Bawaal, garage upgrade. Koi ad nahi.
Bawaal Pass · ₹99 ek baarGhat Road Monsoon, Badla Duel, Knockout Hunt, Elimination, har race mein 2x cash, 3 khaas paint, aage ke saare highways aur modes. 3 phones tak.

Ek baar ka payment, koi auto-renew nahi, koi subscription nahi. Pass sirf games.atmaloop.com/bawaal/pass par milta hai. Free game kabhi band nahi hota.

Kaun bana raha hai

Highway Bawaal ko AtmaLoop bana raha hai, India ka ek solo maker. Sawaal, idea ya bug ho to kabhi bhi likhiye.

Email: support@atmaloop.com · atmaloop.com